- Gum aur khuda ki kahani
gum or khuda ek saath baithe hue the,
tab gum ne baat shuru ki aur khuda se poocha ,
kya mai itna bura hoon ki koi mujhse pyaar kar hi nahi sakta,
tab khuda ne kaha tera aane se log khush nahi hote,
wo teri ahemiyat jaante hi kahan hai,
tu to wo hai jo akela hi sari zindagi har insaan ka saath deta hai,
fir gam ne poocha par fir bhi log mujhe pasand nahi karte,
kya mai kabhi kisi ke chehre par hasi nahi la sakta,
kya mere aane se kisi ko khushi nahi ho sakti,
tab khuda ne socha aur kahan,
tera aana to logo ke liye kismet ki baat hai,
kyunki tere aane ke baad hi to khushi kya hoti hai is baat ka ehsaas hota hai,
tere aane ke baad hi insaan har pal ki ahemiyat samajh pata hai,
aur waise bhi kisi ka gum to kisi ki khushi hi hoti hai,
tab gum ko samajh aaya ki wo dukh hi nahi khushi bhi deta hai,
aur tab gum ne khuda se wida lekar kisi ka daman fir pakad liya.
Regards,
Silky Mishra
From India, Mumbai
RJ, tum mein akal thodi cum hai............. fir bhi tumhe zhelte hum hai.......... yeh kya kum hai.... dekho hum sab (frnds) mein kita dum hai........
From India, Hyderabad
From India, Hyderabad
:huh::huh::huh::huh::huh::huh: then mere pass gum hai............ woh kya cum hai... jo tum bhi aarhe ho
From India, Hyderabad
From India, Hyderabad
Find answers from people who have previously dealt with business and work issues similar to yours - Please Register and Log In to CiteHR and post your query.